Awara Angara Lyrics

Singer – Faheem Abdullah
Album – Tere Ishk Mein
Lyricist – Irshad Kamil
Music – AR Rahman

Teri kayanaat, mere khaali haath aur taar-taar sapne
Gaye zakhm jaag, mere seene aag, lagi saans-saans tapne
Teri kayanaat, mere khaali haath aur taar-taar sapne
Dardo se choor, gham ka guroor, kahoon kya main haal apne

Aawaara, aawaara, aawaara angaara
Raaton mein dooba ambar ka banjaara
Jaane toota kyun, main sheesha, na taara

Teri kayanaat, mere khaali haath aur taar-taar sapne
Gaye zakhm jaag, mere seene aag, lagi saans-saans tapne

Koi udhaari hai, seene pe bhaari hai
Patthar hai ya dil hai
Main hi akela hoon, main hi toh mela hoon
Yeh kaisi mehfil hai
Roothe savere hain, aadhe yeh mere hain
Aadhe hain yeh terе
Tu hai nighaahon mein, laava hai aahon mein
Par sard shaam gherе

Aawaara, aawaara, aawaara angaara
Aansoo hain mere ya pighla hai paara
Jaane toota kyun, main sheesha, na taara

Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatein kar
Maine ishq sikha, maine pyaar sikha
Tu chaahe nafratein kar
Maine dil diya hai, maine dukh liya hai
Tu sauda hi maan le par
Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatein kar

Aawaara, aawaara, aawaara angaara
Raaton mein dooba ambar ka banjaara
Jaane toota kyun, main sheesha, na taara

Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatein kar
Maine ishq sikha, maine pyaar sikha
Tu chaahe nafratein kar

Also Sing

Scroll to Top